Tuesday, April 5, 2011

Ajnabi Kaun Ho Tum...

One of the songs I wish I listened to more often... it's my favorite, mostly for the music and second would have to be Lataji's singing. It's the music that gives this one the goosebumpy haunting kind of feeling to it. You have to listen to it with your car windows rolled down and you driving alone, listening to this one at a speed of 45 miles per hour on a single lane road with no traffic to know what I'm talking about.


(ajnabi kaun ho tum jab se tumhe dekha hai
saari duniya meri aankhon mein simat aayi hai) (2)
ajnabi kaun ho tum

(wow! what beautiful music plays here)

tum to har geet mein shaamil the tarannum ban ke (it sounds like santoor playing here.. such gorgeous tunes)
tum mile ho mujhe phoolon ka tabassum ban ke
aisa lagta hai ke barson se shanaas?? aayi hai
ajnabi kaun ho tum jab se tumhe dekha hai
saari duniya meri aankhon mein simat aayi hai
ajnabi kaun ho tum

khwaab ka rang haqeeqat mein nazar aaya hai
dil mein dhadkan ki tarah koyi utar aaya hai
aaj har saans mein shehnaayi si lehraayi hai
ajnabi kaun ho tum jab se tumhe dekha hai
saari duniya meri aankhon mein simat aayi hai
ajnabi kaun ho tum

koyi aahat si andhero mein chamak jaati hai
raat aati hai to tanhaayi mehek jaati hai
tum mile ho ya mohabbat mein ghazal gaayi hai
ajnabi kaun ho tum jab se tumhe dekha hai
saari duniya meri aankhon mein simat aayi hai
ajnabi kaun ho tum


Film: Sweekar Kiya Maine (1983)
Singer: Lata Mangeshkar
Music Director: Usha Khanna
Lyrics: Nida Fazli
Picturized on: Shabana Azmi, Vinod Mehra

Video:


Better Quality Audio:

No comments: