Sunday, October 3, 2010

Chaman Ke Phool Bhi Tujhko

The random Rafi songs I have placed on my ipod are the best because I get to listen to new undiscovered numbers while I least expect it. This one was discovered the same way. Ever since I listened to it for the first time, it has made me want to go back to it and listen to it over and over again. Sometimes, I just go directly to this one and listen to it. It's that beautiful.

Later on, when I googled for it to find the video, I was very pleasantly surprised to see that it was a song picturized on Ajit and Ragini (the girl from phir aane lagaa yaad). What a lovely and unique pairing! No wonder the song is so much fun to listen to as it's sung by Rafi-Lata combo and music is of G.S. Kohli (wonder whether he is related to Madan Mohan) and taareef karofying words penned by Faarooq Qaiser. :)


M: chaman ke phool bhi tujhko gulaab kehte hai (2)
humi nahin hai sabhi (2) laajawaab kehte hai
F: nazar milaa ke mere (2) dil ki baat pehchaano
sunaa hai chehre ko (2) dil ki kitaab kehte hai
M: chaman ke phool bhi tujhko

F: (saaz-e-dil chhed diyaa hai
to yeh naghma sun lo) (2)
bikhri bikhri hai mere pyaar ki kirane chun lo
M: isi kiran ko sanam (2) aaftaab kehte hai
F: humi nahin (2)
M: humi nahin hai sabhi laajawaab kehte hai
F: chaman ke phool bhi tujhko

M: (chashm-e-hairaan ki kasam
zulf-e-pareshaan ki kasam) (2)
maang lo jaan tumhe meri jaan ki kasam
F: ghazab ki baat hai (2) yeh kyaa janaab kehte hai
M: humi nahin haaye.. humi nahin
F: humi nahin hai sabhi laajawaab kehte hai
M: chaman ke phool bhi tujhko

F: aaj tak dekhi nahin aisi behekti aankhen (2)
M: daal do hum pe in aankhon mein chhalakti aankhen
F: sambhal ke peenaa ise (e) sab sharaab kehte hai
M: humi nahin hoye humi nahin
F: humi nahin hai sabhi laajawaab kehte hai

M: chaman ke phool bhi tujhko gulaab kehte hai
humi nahin hai sabhi laajawaab kehte hai
F: nazar milaa ke mere dil ki baat pehchaano
sunaa hai chehre ko dil ki kitaab kehte hai
M: chaman ke phool bhi tujhko

Film: Shikari (1963)
Singers: Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar
Music Director: G. S. Kohli
Lyrics: Farooq Kaisar
Picturized on: Ajit, Ragini

No comments: