Monday, August 18, 2008

Do Sitaaron Ka Zameen Par

Favorite of everyone in the family, this song. Wish to watch the movie some day...

Meena Kumari and tents remind me of Pakeezah.


M: do sitaaron kaa zameen par hai milan aaj ki raat (2)
muskuraataa hai ummeedon kaa chaman aaj ki raat

F: aa rang laayi hai mere dil ki lagan aaj ki raat
saari duniyaa nazar aati hai dulhan aaj ki raat

Both: do sitaaron kaa jameen par hai milan aaj ki raat
aaj ki raat

M: husnwaale teri duniyaa mein koyi aayaa hai
tere didaar ki hasrat bhi koyi laayaa hai
tod de tod de parade kaa chalan aaj ki raat
muskuraataa hai ummeedon kaa chaman aaj ki raat

Both: aa do sitaaron kaa jameen par hai milan aaj ki raat
aaj ki raat

F: jin se milne ki tamannaa thi wohi aate hai
chaand taare meri raahon mein bichhe jaate hai
choomtaa hai mere kadmon ko gagan aaj ki raat
saari duniyaa nazar aati hai dulhan aaj ki raat

Both: aa do sitaaron kaa jameen par hai milan aaj ki raat
aaj ki raat


Film: Kohinoor (1960)
Singers: Lata Mangeshkar & Mohammad Rafi
Music Director: Naushad
Lyrics: Shakeel Badayuni
Picturized on: Dilip Kumar & Meena Kumari

3 comments:

Nova said...

Loveeeeeeeeeee the song!!!!

Absolutely love the para "husna waale teri duniya me koi aaya hai"

Kanan said...

Neha, thanks. :) glad to know you like the song too. The lyrics are so meaningful.

Kanan said...

"doshi taaro ka jameen par" it is not. :P If you're a Gujarati you'd know what this means. LOL!