Sunday, August 3, 2008

Aye Mere Dost Aye Mere Humdum

A song for today's the friendship day. This is the most emotional friendship song I've heard.

mujhe jab apni guzari zindagaani yaad aati hai
to bas ek meherbaan ki meherbaani yaad aati hai

(aye mere dost aye mere humdum
mere mohsin mere karam farma
woh mera gham tha ya khushi meri
har jagah toone mera saath diya) (2)
aye mere dost aye mere humdum

kaun tha tu kahan se aaya tha
aaj tak maine yeh nahin jaana
tu meri rooh tha magar maine
tere jaane ke baad pehchana
aye mere dost aye mere humdum
mere mohsin mere karam farma
woh mera gham tha ya khushi meri
har jagah toone mera saath diya
aye mere dost aye mere humdum

tu sudama bhi hai kanhaiya bhi
kanhaiya kanhaiya
tu sudama bhi hai kanhaiya bhi
tu bhikaari bhi aur daataa bhi
tere sau rang hai mere pyaare
tu hi pyaasa hai tu hi jharnaa bhi
aye mere dost aye mere humdum
mere mohsin mere karam farma
woh mera gham tha ya khushi meri
har jagah toone mera saath diya
aye mere dost aye mere humdum

tu meri bebasi ke aalam mein
jab kabhi mujh ko yaad aata hai
soch kar meherbaaniyaan teri
dil mera baith baith jaata hai
aakhari arz meri tujhse hai
har khataa meri dar guzar karna
woh ghadi aa rahi hai jab mujhko
is zamaane se hai safar karna
aye mere dost aye mere humdum (5)


Film: Meherbaan (1967)
Singer: Mohammed Rafi
Lyrics: Rajinder Krishan
Music Director: Ravi
Picturized on: Ashok Kumar, Sunil Dutt
Video: http://www.youtube.com/watch?v=K_7Upjg5LH0

No comments: