Thursday, February 7, 2013

Main jahaan rahoon.. (Mehfil version)

The first time I had heard this one was during the SaReGaMaPa days in 2007. I kind of got annoyed with Himesh and didn't really listen to it with so much interest back then. After all these years, I got to listen to it again and I realized how beautiful this song is, not just the lyrics but the singing and music too. Love those tabla that play in the background. Wow!! Totally *mindblowing*

And now I love it so much, I can't stop listening to it. What a heart rendering and meaningful song...


main jahaan rahoon main kahin bhi hoon
teri yaad saath hai

jaane kiski talaash unki aankhon mein thi
aarzoo ke musaafir bhatakte rahe
jitne bhi woh chale utne hi bichh gaye raah mein faasalen
khwaab manzil the aur manzilen khwaab thi
raaston se nikalte rahe raaste
jaane kis waaste
aarzoo ke musaafir bhatakte rahe

main jahaan rahoon main kahin bhi hoon
teri yaad saath hai
kisi se kahoon ke nahin kahoon
yeh jo dil ki baat hai

kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
par chupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saath hai (3)

main jahaan rahoon main kahin bhi hoon
teri yaad saath hai

koyi puraani yaad mera rasta roke mujhse kehti hai
itni jalti dhoop mein yoon kab tak ghumoge
aao, chalke beete dino ki chhanv mein baithe
us lamhein ki baat karein jisme koyi phool khila tha
us lamhein ki baat karein ke jisme kisi aawaaz ki chaandi khanak uthi thi
us lamhein ki baat karein ke jisme kisi ki nazaron ke moti barse the
koyi puraani yaad mera rasta roke mujhse kehti hai
itni jalati dhoop mein yoon kab tak ghumoge

kahin to dil mein yaadon ki ek sooli gad jaati hai
kahin har ek tasveer bahut hi dhundhali pad jaati hai
koyi nayi duniya ke naye rangon mein khush rehta hai
koyi sab kuchh paake bhi yeh mann hi mann kehta hai

kehne ko saath apane ek duniya chalti hai
par chhupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saath hai (3)

sach to yeh hai kusoor apna hai
chaand ko chhoone ki tamanna ki
aasmaan ko zameen par maanga
phool chaaha ki patthron pe khile
kaanton mein ki taraash khushbu ki
aarzoo ki ke aag thandak de
barf mein dhoondhte rahe garmi
khwaab jo dekha chaaha sach ho jaaye
is ki humko sazaa to milni thi
sach to yeh hai kusoor apna hai

aa aa aa... aa aa aa aa...

kahin to beete kal ki jade dil mein hi utar jaati hai
kahin jo dhaage toote to malaayen bhikhar jaati
koyi dil mein jagaah nayi baaton ke liye rakhta hai
koyi apni palkon par yaadon ke diye rakhta hai

kehne ko saath apne ek duniya chalti hai
par chupke is dil mein tanhaayi palti hai
bas yaad saath hai
teri yaad saath hai (3)


Movie: Namaste London (2007)
Music Director: Himesh Reshammiya
Singers: Rahat Fateh Ali Khan, Krishna, Javed Akhtar
Lyrics: Javed Akhtar
Picturised on: Akshay Kumar, Katrina Kaif

2 comments:

Unknown said...

Can u pls help me by uploading the sargam

Unknown said...

Can u pls help me by uploading the sargam