Saturday, July 21, 2012

Maine.. tere liye hi saat rang ke sapne chune...

Rajesh Khanna. I think the name and I see this person who is loved by all. Or at least that's how I want to see him. It's been three days since he's gone but he lives in his songs, in his films, in his fans, in the people who loved him. For me, he'd always be this hero who stole my heart without me knowing about it. He didn't even do anything but just look. That's who he is. Been thinking about him and listening to his songs and this is the one that summarizes him. Kaka, you've been a legend and will always be remembered so fondly. May you continue to create magic with your eyes wherever you are. God bless you.

maine
tere liye hi saat rang ke sapne chune
sapne surile sapne
maine tere liye hi saat rang ke sapne chune
sapne surile sapne

kuchh haste kuchh gham ke
teri aankhon ke saaye churaaye
rasili yaadon ne

ho maine tere liye hi saat rang ke sapne chune
sapne surile sapne

(chhoti baatein
chhoti chhoti baaton ki hai yaaden badi
bhule nahin beeti hui ek chhodi ghadi) (2)
janam janam se aankhen bichaayi
tere liye in raahon mein
ho maine tere liye hi saat rang ke sapne chune
sapne surile sapne

(bhole bhaale
bhole bhaale dil ko behlaate rahe
tanhaayi mein tere khayaalon ko sajaate rahe) (2)
khabi kabhi to aawaaz de kar
mujhko jagaaye khwaabon ne
ho maine tere liye hi saat rang ke sapne chune
sapne surile sapne

(roothi raate
roothi hui raaton ko manaaya kabhi
tere liye bheegi subah ko bulaaya kabhi) (2)
tere bina bhi tere liye hi
diye jalaaye raahon mein

ho maine tere liye hi saat rang ke sapne chune
sapne surile sapne
kuchh haste kuchh gham ke
teri aankhon ke saaye churaaye
rasili yaadon ne

ho maine tere liye hi saat rang ke sapne chune
sapne surile sapne

Film: Anand (1971)
Singer: Mukesh
Music Director: Salil Chowdhury
Lyrics: Yogesh
Picturized on: Rajesh Khanna, Amitabh Bachchan, Ramesh Deo, Seema Deo

Film song with two stanzas:


Mukesh's song with stanza "bhole bhaale":

No comments: