Sunday, August 8, 2010

Humi se mohabbat humi se ladaayi

You don't see Dilip Kumar in this mood too often. I am having such a fun time watching him in Leader doing all the crazy things that are more of signature adaayen for say Shammi Kapoor or even Dharmendra. And Vijayantimala has been in too many serious roles so this one was a fresh change to see. I'm still half a way through the movie but couldn't get over this song so kept listening to it. Naushadji's music is gorgeous and so are the lyrics of Shakeel Badayuni sahab along with Rafi sahab's mischievous singing.


humi se mohabbat humi se ladaayi (2)
arre maar daala duhaayi duhaayi (2)
abhi naasamajh ho uthaao na khanjar (2)
kahin mud na jaaye tumhaari kalaayi
arre maar daala duhaayi duhaayi

sitam aaj mujh par jo tum dhaa rahi ho
badi khubsoorat nazar aa rahi ho
yeh jee chaahta hai ke khud jaan de doon (2)
mohabbat mein aaye na tum par buraayi
arre maar daala duhaayi duhaayi

hume husn ki har adaa hai ganvaara
haseenon ka gussa bhi lagta hai pyaara
udhar tum ne teer-e-nazar dil pe maara (2)
idhar hum ne bhi jaan kar chot khaayi
humi se mohabbat humi se ladaayi (check out how she stomps his foot here.. hahaha!)
arre maar daala duhaayi duhaayi

karo khoon yoon tum na mere jigar ka
bas ek vaar kaafi hai teerchhi nazar ka
yehi pyaar ko aazmaane ke din hai (2)
kiye jaao hum se yoon hi bewafaayi
humi se mohabbat humi se ladaayi
arre maar daala duhaayi duhaayi

ho oo oo... ho oo oo...

abhi na samajh ho uthaao na khanjar (2)
kahin mud na jaaye tumhaari kalaayi
arre maar daala duhaayi duhaayi


Film: Leader (1964)
Singer: Mohd. Rafi
Music Director: Naushad
Lyrics: Shakeel Badayuni
Picturized on: Dilip Kumar, Vijayantimala Bali


No comments: