Monday, July 19, 2010

Huzoor is kadar bhi na itaraa ke chaliye...

Bhupinder Singh's signature ghazals are the best to listen to when you want to relax from a tiring day. They take you to this state of mind where all you can do is just listen to them and smile. This is one of my favorites of him along with Suresh Wadkar. What beautiful singers both of them are. But what adds sone pe suhaga here is Gulzar's lyrics and RDB music.... and it turns into pure enjoyment...


BS: aa aa aa aa aa.. aa aa aa..
SW: aa aa... aa aa aa aa...
BS: huzoor is kadar bhi na itaraa ke chaliye (2)
khule aam aanchal na lehraa ke chaliye

huzoor is kadar bhi na itaraa ke chaliye
khule aam aanchal na lehraa ke chaliye

huzoor is kadar bhi na itaraa ke chaliye...

koyi manchalaa gar pakad legaa aanchal
aa aa aa koyi manchalaa gar pakad legaa aanchal
zaraa sochiye aap kyaa keejiyegaa
SW: lagaa de agar badhke zulfon mein kaliyaan (2)
to kyaa apni zulfen jhatak deejiyegaa
huzoor is kadar bhi na itaraa ke chaliye
khule aam aanchal na lehraa ke chaliye
huzoor is kadar bhi na itaraa ke chaliye

aa aa aa.. aa aa aa...
badi dil nashi hai haseen ki yeh ladiyaan (2)
yeh moti magar yoon na bikharaaya keeje
BS: udaa ke na le jaaye jhokhaa hawaa ka (2)
lachakta badan yoon na lehraaya keeje
huzoor is kadar bhi na itaraa ke chaliye
SW: khule aam aanchal na lehraa ke chaliye
huzoor is kadar bhi na itaraa ke chaliye

bahot khubsoorat hai har baat lekin (2)
agar dil bhi hotaa to kyaa baat hoti
BS: likhi jaati phir daastaan-e-mohabbat (2)
ek afsaane jaisi mulaaqaat hoti
huzoor is kadar bhi na itaraa ke chaliye
SW: khule aam aanchal na lehraa ke chaliye
BS: huzoor is kadar bhi na itaraa ke chaliye
SW:khule aam aanchal na lehraa ke chaliye
huzoor is kadar bhi na itaraa ke chaliye


Film: Maasoom (1983)
Singers: Bhupinder Singh, Suresh Wadkar
Music Director: R. D. Burman
Lyrics: Gulzar
Picturized on: Saeed Jaffery, Naseeruddin Shah, Shabana Azmi, Tanuja, Others

No comments: