Thursday, January 24, 2013

Suhaana safar aur yeh mausam haseen...

If it registers in your mind and you realize it and appreciate it. Say it or at least enjoy it while it lasts. Not many can do that.

Ch: aa aa aa..

M: suhaana safar aur yeh mausam haseen
hume dar hai hum kho na jaaye kahin
suhaana safar aur yeh mausam haseen

(yeh kaun hansta hai phoolon mein chhup kar
bahaar bechain hai kis ki dhun par) (2)
kahin gungun kahin runjhun ke jaise naache zameen
suhaana safar aur yeh mausam haseen
hume dar hai hum kho na jaaye kahin
suhaana safar aur yeh mausam haseen

(yeh gori nadiyon ka chalna uchhalkar
ke jaise alhad chale pee se mil kar) (2)
pyaare pyaare yeh nazaare nikhaar hai har kahin
suhaana safar aur yeh mausam haseen (2)
hume dar hai hum kho na jaaye kahin
suhaana safar aur yeh mausam haseen

oh ho ho (2)
ho..

woh aasmaan jhuk rahaa hai zameen par (2)
yeh milan humne dekha yahin par

woh aasmaan jhuk rahaa hai zameen par
yeh milan humne dekha yahin par
meri duniya mere sapne milenge shaayad yahin
suhaana safar aur yeh mausam haseen (2)
hume dar hai hum kho na jaaye kahin
suhaana safar aur yeh mausam haseen

Film: Madhumathi (1958)
Singer: Mukesh
Music Director: Salil Choudhary
Lyrics: Shailendra
Picturised on: Dilip Kumar


Thursday, January 3, 2013

Panchhi nadiyaa pawan ke jhoke..

Would you believe that this song actually came out 13 years ago? Yes, indeed! And it just feels like yesterday that I listened to it for the first time and went crazy for Sonu Nigam's singing. What a beautifully sung song and what gorgeous music... it is one of those movies with quality music and songs that remains fresh in your heart and you actually remember every single word of the song because it was worth it. Anu Malik's evergreen music and Sonu Nigam and Alka Yagnik's singing take the cake. Not to forget so very young and so simple as in almost bling-free and still beautiful Abhishek and Kareena and the acting that earned them accolades.

Wishing everyone a very happy new year 2013!

M: uparwaale ne apni mohabbat ke sadke mein
hum sab ke liye yeh dharti banaayi thi
par mohabbat ke dushmanon ne iss par lakeeren kheech ke
sarhaden banaa dee

main jaanta hoon woh log tumhe is paar nahin aane denge
magar yeh pawan jo tumhaare yahaan se ho kar aayi hai
tumhe chhu kar aayi hogi
main isse saans banaa kar apne seene mein bhar loonga

F: yeh nadiyaa jis par jhuk kar tum paani piya karte ho
main iss pe paani se apne pyaase hothon ko bheego loongi
samjhoongi tumhaare hothon ko chhu liya

M: panchhi nadiyaa pawan ke jhoke koyi sarhad na inhe roke (2)
sarhaden insaanon ke liye hai
socho tumne aur maine kya paaya insaan ho ke

F: panchhi nadiyaa pawan ke jhoke koyi sarhad na inhe roke
sarhaden insaanon ke liye hai
socho tumne aur maine kya paaya insaan ho ke

(chorus)

[I think they're playing some amazing maaN here]

M: jo hum dono panchhi hote
tairte hum iss neel gagan mein pankh pasaare

F: saari dharti apni hoti
apne hote saare nazaare

M: khuli fizaaon mein udate (2)
apne dilon mein hum saara pyaar sang?

F: panchhi nadiyaa pawan ke jhoke koyi sarhad na inhe roke
M: sarhaden insaanon ke liye hai
socho tumne aur maine kya paaya insaan ho ke [absolutely love the way he sings 'maine']

[what divine flute plays here!]

F: jo main hoti nadiyaa aur tum pawan ke jhoke to kya hota
ho jo main hoti nadiyaa aur tum pawan ke jhoke to kya hota

M: pawan ke jhoke nadi ke tan ko jab chhute hai (2)
lehren hi lehren banti hai
hum dono jab milte to kuchh aisa hota

F: sab kehte yeh leher leher jahaan bhi jaaye inko na koyi toke

M: panchhi nadiyaa pawan ke jhoke koyi sarhad na inhe roke
F: sarhaden insaanon ke liye hai
socho tumne aur maine kya paaya insaan ho ke

M: panchhi nadiyaa pawan ke jhoke koyi sarhad na inhe roke

Film: Refugee (2000)
Singers: Sonu Nigam, Alka Yagnik, Abhishek Bachchan, Kareena Kapoor
Music Director: Anu Malik
Lyrics: Javed Akhtar
Picturized on: Abhishek Bachchan, Kareena Kapoor


Full song:


Video song: