Wednesday, January 5, 2011

Madhosh Hawaa Matwaali Fizaa... Sansaar Suhaana Lagta Hai

Happy New Year 2011! May this year be filled with more fun music and ever growing love for it.

So what happens when you start listening to songs in the new year anticipating fun numbers to listen to and watch while youtubing and your three-stanza-long-positive-thoughts-filled song turns out to be double in length and even more fun!!? That is called a truly happy new year. That's exactly what happened today while listening to this number and boy! am I glad I went to listen to those initial songs on Resp. Shammi ji's channel on youtube. That was also a discovery - a complete cherry-on-top, icing-on-the-cake moment.

If you've listened to this one before, I guarantee that it will still be more entertaining to listen to it again today. I love love LOVE this one and not just for Rafi sahab or for Shammi ji but both of them and even more. The SJ music is so upbeat and cheers me up and lyrics are out of this world. What a nice song penned by Farooq Qaiser. My greedy self still wants to have the video of this whole song on youtube. Hopefully soon! :D


ho ho ho... ho ho... ho ho ho...
aa ha ha aa ha aa ha ha ha ha...

ey hey hey... aa ha... aa ha...
ho ho ho... ho ho... ho ho ho...

madhosh hawaa matwaali fizaa sansaar suhaana lagta hai (2)
kar le na kisi se pyaar kahin dil apna deewaana lagta hai
madhosh hawaa matwaali fizaa sansaar suhaana lagta hai

(raahi hoon nayaa anjaan dagar
pyaara hai badaa jeevan ka safar) (2)
nikla hoon main apni masti mein
maaloom nahin manzil hai kidhar
yeh badhte hue bechain kadam
paayenge thikaana lagta hai
kar le na kisi se pyaar kahin dil apna deewaana lagta hai
madhosh hawaa matwaali fizaa sansaar suhaana lagta hai

(hothon pe haseen aankhon mein nami
is baat ki hai duniya mein kami) (2)
jeena bhi wohi marna bhi wohi
taqdeer sabhi ko ek mili
main jis ki kahaani dil se sunu
apna hi fasaana lagta hai
(kar le na kisi se pyaar kahin dil apna deewaana lagta hai
madhosh hawaa matwaali fizaa sansaar suhaana lagta hai) (2)

oh ho ho.. ho ho.. ho ho ho...
ey hey hey.. hey hey... hey hey hey...

kar le na kisi se pyaar kahin dil apna deewaana lagta hai
madhosh hawaa matwaali fizaa sansaar suhaana lagta hai

(pal bhar ko na hum aaraam kare
do haath hazaaron kaam kare) (2)
kismat ki shikaayat kya karna
bhagwan ko kyon badnaam kare
ek roz humaare haathon se
badalega zamaana lagta hai
kar le na kisi se pyaar kahin dil apna deewaana lagta hai
madhosh hawaa matwaali fizaa sansaar suhaana lagta hai

jo aag tumhaare dil mein lage
us aag mein mera dil bhi jale ha ha
jo aag tumhaare dil mein lage
uss aag mein mera dil bhi jale
dhanwaan ho ya nirdhan ho koyi
daata ki nazar mein ek hue
insaan se rishta insaan ka
is jag mein puraana lagta hai
kar le na kisi se pyaar kahin dil apna deewaana lagta hai

oh ho ho.. ho ho.. aa ha ha ha...
ey hey hey.. hey hey... hey hey hey...

kar le na kisi se pyaar kahin dil apna deewaana lagta hai
madhosh hawaa matwaali fizaa sansaar suhaana lagta hai

(nazaren hai kahin zulfen hai kahin
har baat jawaan har baat haseen) (2)
mitataa hai mera dil mit jaaye
to apni adaayen rok nahin
andaaz jawaani kya kahiye
thokar mein zamaana lagta hai
kar le na kisi se pyaar kahin dil apna deewaana lagta hai
madhosh hawaa matwaali fizaa sansaar suhaana lagta hai

(tum apni nazar ki bechaini
samjhoge nahin kamsin ho abhi) (2)
aata hai mazaa ab jeene mein
mar jaaye hamaare dil ki lagi
dekha jo tumhe to yaad aaya
yeh dard puraana lagta hai
kar le na kisi se pyaar kahin dil apna deewaana lagta hai

oh ho ho.. aa ha.. aa ha...
oh ho ho.. aa ha.. ha ha ha...
aa ha ho.. ho ho.. aa ha...
aa ha ha.. aa ha.. ha ha ha...


Film: Prince (1969)
Singer: Mohammad Rafi
Music Director: Shankar Jaikishen
Lyrics: Faruk Kaiser
Picturized on: Shammi Kapoor & Others

Full audio:


Video: