Saturday, November 16, 2013

Tasveer teri dil mera behla na sakegi...

The ghazal that I had been wanting to listen to since forever, but every time I went looking for it, I ended up listening to my other favorite tasveer teri dil mein jis din se utaari hai. So finally made it a point to search for this one instead and listened to it. What sweet voice Talat sahab had and what beautiful lyrics. It also reminds me of Gujarati prayer song naiya jhukaavi main to.

Apparently, there's also a comic number (lyrics are totally mindblowing!) by Mohd. Rafi sahab that starts with tasveer teri dil mera behla na sakegi. Looks like a parody written on the original.


tasveer teri dil mera behla na sakegi (2)
yeh teri tarah mujhse to sharma na sakegi
tasveer teri dil mera behla na sakegi

(main baat karoonga to yeh khaamosh rahegi
seene se lagaa loonga to yeh kuchh na kahegi) (2)
aaram woh kya degi jo tadpa na sakegi
tasveer teri dil mera behla na sakegi

(yeh aankhen hai thehri hui chanchal woh nigaahen
yeh haath hai sehme hue aur mast woh baahen) (2)
parchhaayi to insaan ke kaam aa na sakegi
tasveer teri dil mera behla na sakegi

(inn hothon ko faiyyaaz main kuchh de na sakunga
iss zulf ko main haath mein bhi le na sakunga) (2)
uljhi hui raaton ko yeh suljha na sakegi
tasveer teri dil mera behla na sakegi (2)


Category: Non-Film Ghazal (1940)
Singer: Talat Mahmood
Lyrics: Faiyyaaz Hashmi